Advertisements

Voter Card Adhar Card Linking

Advertisements

Voter Card Adhar Card Linking

Hallo Dosto,

Sabhi Logo ko Maloom hain Voter Card kya hain, Adhar Card kya hain.

Newspaper Tv main News Dekha hoga ki Pancard ko Adhar Card link Karna hain Waise

Voter Card ko Adhar Card Link karna hain.

Ish ka ye Fayada hain ki

Matdar yadi ka Pramanikaran karna.

Double Nam aaya hain to eki jagah nam rakh ke baki Duplicate nam Nikalana.

Adhar Card Mahiti ko Double Surkshitata.

Bharat Nirvachan Aayog ka Date 1 August 2022 se Voter card ko Adhar Linking karne Chalu hain .

Sabhi Bhartiya Matdar Nagariko ne Jyada se Jyada Voter Card ko Adhar Card Link karna Jaruri hain

kyoi ki Ye Apane liye bahoot hi Surakshitata hain ..

Aaj ke Jamane main Sabhi ke Pass Mobile hain.

Baithe Baithe Aap Mobile se Voter Card ID ko Adhar Card Link kar Sakte hain

Voter Card ko Adhar Card Link karna Bahoot hi Simple Easy hain.

bas

Apko Niche diya hua Prakriya ko Follow Karna hain.

  1. Voter Helpline App nam ka App Play Store se Download Kijiye.
  2. Voter Registration pe Click Kijiye.
  3. Form 6B ko Click Kijiye.
  4. Lets Start ko Click Kijiye.
  5. Apana Mobile Number daliye.
  6. Apko OTP aayega wo Daliye.
  7. OTP dalne ke baad Verify pe Click Kijiye.
  8. Aapke pass Voter ID hain to Yes I Have Voted Id pe Click Kijiye.
  9. Voter ID Number Daliye aur State Maharashtra Daliye (Apana State Daliye)
  10. Bad main Procced pe Click Kijiye.
  11. Ab Apna Adhar Number Daliye.
  12. Done Kijiye Aur Confirm Kijiye.

ishke bad Apka Adhar Voter Card ID ko Link ho gaya ka Messege Aayega.

Upar Diya hua Prakiya ka Palan kar ke Sabhi Bhartiya Matadar Nagariko ne Election Card ID ko Adhar Card Link kar lena Chahiye..

Waise Aap Bharat Nirvachan Aayog ka Website main ja ke Adhar Card Linking kar sakte hain.

Adhik Jankari ke liye aap https://www.nvsp.in/ website main ja Ke Information Lijiye.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *